होली क्यों मनाई जाती है | Holi Kyu Manayi Jati Hai - Holi Festival Date 2024
Holi Festival |
"Holi ka gulal ho,
" Rang on ki bahar ho,
" Gujiya ki mithas ho,
" Ek baat khas ho,
" Sabh ke dil mein pyar ho,
" Yeh apan toyhar ho"
WISH YOU VERY VERY HAPPY HOLI 2024
HOLI 2024
"AYI BASANT PALA OUDANT"
HOLI KABH MANAYI JATI HAI
Holi Festival Date 2024 | Holi festival date 2025
Holi festival har saal march mahinye mein maanyi jaati hai, Holi Celebration Date 2023
Holi: 8th March 2023
Holika Dahan: 8th march 2023
Holi: 25th March 2024
Holika Dahan: 25th March 2024
HOLI KYO MANAYI JATI HAI
Holi ka toyhar achi ki buaryi par jeet ka partik hai. Holi ka toyhar har oumar ke insan bade khushi outshah se manate hai. Chahye woh bacha ho ja budde holi ke toyhar bhut besabari se intzar karte hai. Holi manaye jane ka sabse bada karan hota hai k har insan holi ki Agni mein apne andar ki buaryi ko mar kar acha insan banye. Holi ek aisa toyhar hai Jo acchi ki buaryi par jeet ka sanket deta hai.
HOLI KI HISTORY
Hirankhasip ek raja tha Jo ki ek raksash ki tarh tha. Woh apne chotye bhai ki maut ka badla Lana chahta tha jise bagwan Vishnu ne Mara tha. Isiliye apne app ko sakhtisali banane ke liye usne saalon tak parathna ki. Akhirkar use bardan mila ke use koi na koi insan aur na hi koi janwar mar Sakta tha, na hi koi astar aur na hi koi sastar se, na ghar ke andar na ghar ke bhar, na hi din mein na hi raat mein, na hi dharti pe aur na hi akash mein. Is bardan se Hirankhasip apne app KO bagwan samjhne laga aur logon ko bagwan ki tarh uski pooja karne ko kehne laga. Dushrath Raja ka ek beta tha jiska naam parelad tha woh bagwan Vishnu ka parm bhagat tha. Raja apne bete KO bagwan Vishnu ki pooja karne se rokta tha aur Vishnu ki wajhye uski pooja karne ko kehta tha. Lakin parelad ne uski baat nhi Mani aur bagwan vishnu ki pooja karta raha.Apni baat na manva sakne ke karn apne bete se bhut naraj tha. Aur usne apne bete ko Marne ka fasla kiya. Usne apni bhen holika KO kahan ki woh parelad ko apni god mein lakar Agni mein baith Jaye kyo k holika ke pass ek bastar tha jise odd kar woh agg mein baith Jaye toh Agni use chuu v nhi sakti thi. Holika ne apne bhai Hirankhasip ke kehne ke anusar bilkul aisa hi kiya woh Agni mein parelad ko god mein lakar baith gyi. Unki jojna parelad ko Marne ki thi lakin unki yeh jojna safal nhi ho payi kyo k Parelad Sara samye bagwan Vishnu ka naam leta raha aur Bach gyea aur wohi holika jisnu apne na jalne ka ghamnd tha woh Agni mein jalkar khakh ho gyi. Holika ki yeh haar burayi khatm hone ka partik hai. Iske byd bagwan Vishnu ne Hirankhasip ka vadh kar diya tha, isiliye holi ka toyhar holika ki yeh kahani se juda hua hai. Isi ke chaltye bharat mein kei jagha ek raat phele burayi par achyi ke partik hone par holi jalyi jati hai.
RANG HOLI KA HISSA KAISE BANYE
Mana jata hai ke bagwan krishan rangon se holi manatye the isi liye yeh toyhar rang on ke toyhar ke Roop mein bhut lokpriye hai. Bagwan krishan gokul aur brindavan mein apne sathiyeo ke sath holi manatye the. Woh mazak se bhari satainiyn kartye the. Aj pure desh mein kahin v brindavan aur gokul jaisi holi nhi manyi jati. Yeh toh baat rahi ke holi mein rang kaise holi ka hissa banye abb baat kartye hai holi mein use kiye Jane walye rangon ki.
HOLI KE RANG
HOLI KE DIN KYA KARYE
* Holi ke din aise kapde pehne k apki puri skin cover ho ta Jo apki skin par chemical rang na lagye....
* Apne face, skin aur hair par oil laga le isse
holi ke rang nikaalne mein asani hogi.
* Asthma ke patient vaise toh rangon se dur
rahye pr agar holi manane ka mn ho toh face mask jarur pehn le.....
* Apne head ko cover karye ta jo hair ko nuksan na ho.
* Save and secure holi manaye.
HOLI KE DIN KYA NA KARYE
* Chemical aur synthetic rang ka use na karye.
* Rang ko kisi ke akh, nak, kann aur mouh mein na dhalye...
* Apni family aur friends ke sath holi
mananye ajnbi se dur rahye.
* Eczema ke patient rangon se duri bana kar rakhye...
* Jabasrdsti kisi par rang na lagye.
* Animals ko v rang na lagye jaise humare
liye iske side effect hai isi tarh animal ko v nuksan ho Sakta hai.
* Cheap chinese rangon se bachye skin ko nuksan pohchatye hai...
CONCULSION
Mujhe oumed hai app sb ko ke mera yeh artical app sabko acha laga hoga aur app sb ko yeh v pata chal gyea hoga k holi kyo, kabh aur kaise manayi jati hai. So friends holi abh aane wali hai toh app log sb apni health ka dhayn rakhtye houye chemical rangon se dur natural rangon se holi manaye. Mere tarif se app sbko adavnace mai "HAPPY HOLI". Agar app hume yeh batana chahtye hai k app is bar ki holi kaise manana chahtye hai aur kaise manyi toh plz comment karke apne experience jarur share karye.
0 Comments